tishna-dahan ko pyas ki shiddat na mar de
tishna-dahan ko pyas ki shiddat na mar de
Syed John Abbas Kazmi
MORE BYSyed John Abbas Kazmi
tishna-dahan ko pyaas kī shiddat na maar de
ai shaḳhs mujh ko terī zarūrat na maar de
hotā hai jis tarah se mukāfāt kā amal
tujh ko hamāre ba.ad mohabbat na maar de
tū biich meñ na aa ye tirā mas.ala nahīñ
terī ye guftugū mirī himmat na maar de
jalne do un ko aur unheñ dekhte raho
in munkiroñ ko buġhz-e-vilāyat na maar de
aisā na ho ki ham na mileñ umr bhar kahīñ
phir soch lo kahīñ hameñ furqat na maar de
kahte haiñ log sabr kā hotā hai mīThā phal
Thahro ruko suno tumheñ ujlat na maar de
bas is liye maiñ tere barābar na aa sakā
maiñ sochtā thā mujh ko ye shohrat na maar de
jaatā zarūr tuur pe maiñ dekhne use
phir Dar gayā kahīñ mujhe hairat na maar de
har shaḳhs apnā hotā nahīñ 'jaun' jaan le
tujh ko kahīñ lihāz-o-muravvat na maar de
tishna-dahan ko pyas ki shiddat na mar de
ai shaKHs mujh ko teri zarurat na mar de
hota hai jis tarah se mukafat ka amal
tujh ko hamare baad mohabbat na mar de
tu bich mein na aa ye tera masala nahin
teri ye guftugu meri himmat na mar de
jalne do un ko aur unhen dekhte raho
in munkiron ko bughz-e-wilayat na mar de
aisa na ho ki hum na milen umr bhar kahin
phir soch lo kahin hamein furqat na mar de
kahte hain log sabr ka hota hai miTha phal
Thahro ruko suno tumhein ujlat na mar de
bas is liye main tere barabar na aa saka
main sochta tha mujh ko ye shohrat na mar de
jata zarur tur pe main dekhne use
phir Dar gaya kahin mujhe hairat na mar de
har shaKHs apna hota nahin 'jaun' jaan le
tujh ko kahin lihaz-o-murawwat na mar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.