tishnagi honTon pe rakhna aur samundar sochna
tishnagī hoñToñ pe rakhnā aur samundar sochnā
mujh ko pāgal kar gayā hai ek ḳhud-sar sochnā
hoñT us ne sī liye to phir mujhe bhī umr bhar
chup ke mausam kāTnā haiñ aur barābar sochnā
saare ā.īne sajā kar soch kī dahlīz par
ek din merī tarah phir tum bhī patthar sochnā
sard sochoñ ne use bhī kar diyā hai munjamid
merī āñkhoñ meñ basā thā ek manzar sochnā
chhāñv sab kī ek sī hai muḳhtalif haiñ sā.ebāñ
rah-guzar meñ bhī usī kā sāya-e-dar sochnā
ek lamha kāTne meñ umr saarī lag ga.ī
us kī jānib dekhnā aur zindagī bhar sochnā
apne hisse meñ yahī socheñ to aa.ī haiñ 'kafīl'
sochnā aur fursatoñ meñ yūñhī aksar sochnā
tishnagi honTon pe rakhna aur samundar sochna
mujh ko pagal kar gaya hai ek KHud-sar sochna
honT us ne si liye to phir mujhe bhi umr bhar
chup ke mausam kaTna hain aur barabar sochna
sare aaine saja kar soch ki dahliz par
ek din meri tarah phir tum bhi patthar sochna
sard sochon ne use bhi kar diya hai munjamid
meri aankhon mein basa tha ek manzar sochna
chhanw sab ki ek si hai muKHtalif hain saeban
rah-guzar mein bhi usi ka saya-e-dar sochna
ek lamha kaTne mein umr sari lag gai
us ki jaanib dekhna aur zindagi bhar sochna
apne hisse mein yahi sochen to aai hain 'kafil'
sochna aur fursaton mein yunhi aksar sochna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.