tishnagi tapti hawaon se bujhate dekha
tishnagī taptī havāoñ se bujhāte dekhā
phir use ret ke dariyā meñ nahāte dekhā
koī mausam ho alāmat thā vo shādābī kī
dar-ba-dar aaj use ḳhaak uḌāte dekhā
apnī muTThī meñ dabā.e thā vo sadiyāñ lekin
sar ko ik lamhe ke āñchal meñ chhupāte dekhā
kaise kaise dur-e-nāyāb mile miTTī meñ
mauj-dar-mauj use ashk bahāte dekhā
dasht-e-ummīd meñ har-chand vo tanhā thā magar
be-tahāsha use āvāz lagāte dekhā
aur phir toḌ diyā us ne ta.alluq kā hisār
vo akelā thā jahāñ tak use jaate dekhā
tishnagi tapti hawaon se bujhate dekha
phir use ret ke dariya mein nahate dekha
koi mausam ho alamat tha wo shadabi ki
dar-ba-dar aaj use KHak uDate dekha
apni muTThi mein dabae tha wo sadiyan lekin
sar ko ek lamhe ke aanchal mein chhupate dekha
kaise kaise dur-e-nayab mile miTTi mein
mauj-dar-mauj use ashk bahate dekha
dasht-e-ummid mein har-chand wo tanha tha magar
be-tahasha use aawaz lagate dekha
aur phir toD diya us ne talluq ka hisar
wo akela tha jahan tak use jate dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.