tishnagi wo thi ki jo ruh tak aai na gai
tishnagī vo thī ki jo ruuh tak aa.ī na ga.ī
jism kī pyaas laboñ se bhī bujhā.ī na ga.ī
maiñ ne har samt hī dekhā hai use jān-e-bahār
gardish-e-vaqt kī tasvīr ghumā.ī na ga.ī
haa.e vo ḳhuun ke pyāse haiñ unheñ kyā mā'lūm
laash maañ baap kī bachchoñ se uThā.ī na ga.ī
ek din bāġh-e-tilismāt meñ dekhā maiñ ne
sabz peḌoñ ko koī baat sunā.ī na ga.ī
bārhā dekhā hai yak-tarfa tamāshā maiñ ne
ḳhaak is dasht-navardī meñ uḌaa.ī na ga.ī
ham ne koshish to bahut kī thī magar ham se ai dost
ik tirī yaad thī jo ham se bhulā.ī na ga.ī
us kī tamsīl-garī dekh ke andāza huā
ham se kyoñ ḳhāk-basar ziist kamā.ī na ga.ī
un ke qadmoñ kī maiñ aahaT se hī pahchān ga.ī
dar-o-dīvār ko āvāz lagā.ī na ga.ī
sab ne is mulk ko luuTā hai mahārat se 'umūd'
hukmarānoñ se yahī baat chhupā.ī na ga.ī
tishnagi wo thi ki jo ruh tak aai na gai
jism ki pyas labon se bhi bujhai na gai
main ne har samt hi dekha hai use jaan-e-bahaar
gardish-e-waqt ki taswir ghumai na gai
hae wo KHun ke pyase hain unhen kya ma'lum
lash man bap ki bachchon se uThai na gai
ek din bagh-e-tilismat mein dekha main ne
sabz peDon ko koi baat sunai na gai
barha dekha hai yak-tarfa tamasha main ne
KHak is dasht-nawardi mein uDai na gai
hum ne koshish to bahut ki thi magar hum se ai dost
ek teri yaad thi jo hum se bhulai na gai
us ki tamsil-gari dekh ke andaza hua
hum se kyon KHak-basar zist kamai na gai
un ke qadmon ki main aahaT se hi pahchan gai
dar-o-diwar ko aawaz lagai na gai
sab ne is mulk ko luTa hai mahaarat se 'umud'
hukmaranon se yahi baat chhupai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.