titli kanwal gulab ki rangat mein paD gae
titli kanwal gulab ki rangat mein paD gae
Kashif Adeeb Makanpuri
MORE BYKashif Adeeb Makanpuri
titlī kañval gulāb kī rañgat meñ paḌ ga.e
jab se huzūr aap kī sohbat meñ paḌ ga.e
tum ko to hoshiyār samajhte the ham magar
tum ko ye kyā huā ki mohabbat meñ paḌ ga.e
ham is liye bhī aur taraqqī na kar sake
bhūle se chehre dekhe muravvat meñ paḌ ga.e
ḳhud ham ne apnā saath bahut duur tak diyā
āḳhir meñ ham bhī apnī zarūrat meñ paḌ ga.e
tum ne zarā sī baat ko jab tuul kar diyā
jitne bhī aql-mand the hairat meñ paḌ ga.e
jañgal meñ koī aadmī aayā zarūr hai
kyoñ jānvar bhī buġhz-o-adāvat meñ paḌ ga.e
us din se apne vāre-nyāre hī ho ga.e
jis din se tere kūcha-e-ulfat meñ paḌ ga.e
iz.hār-e-ishq jab se kiyā hai zabān se
'kāshif' 'adīb' tum bhī qayāmat meñ paḌ ga.e
titli kanwal gulab ki rangat mein paD gae
jab se huzur aap ki sohbat mein paD gae
tum ko to hoshiyar samajhte the hum magar
tum ko ye kya hua ki mohabbat mein paD gae
hum is liye bhi aur taraqqi na kar sake
bhule se chehre dekhe murawwat mein paD gae
KHud hum ne apna sath bahut dur tak diya
aaKHir mein hum bhi apni zarurat mein paD gae
tum ne zara si baat ko jab tul kar diya
jitne bhi aql-mand the hairat mein paD gae
jangal mein koi aadmi aaya zarur hai
kyon jaanwar bhi bughz-o-adawat mein paD gae
us din se apne ware-nyare hi ho gae
jis din se tere kucha-e-ulfat mein paD gae
izhaar-e-ishq jab se kiya hai zaban se
'kashif' 'adib' tum bhi qayamat mein paD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.