titliyan jugnu shajar KHushbu parinde chhoD kar
titliyan jugnu shajar KHushbu parinde chhoD kar
Sadiya Safdar Saadi
MORE BYSadiya Safdar Saadi
titliyāñ jugnū shajar ḳhushbū parinde chhoḌ kar
hañs rahī huuñ ḳhvāb saare maiñ adhūre chhoḌ kar
jis kī āñkhoñ ne likhā thā āḳhirī nauha mirā
vo gayā bhī to gayā hai sab se pahle chhoḌ kar
DhūñDhtī phirtī huuñ apne aap ko kuchh is tarah
aa ga.ī huuñ jis tarah maiñ ḳhud ko pīchhe chhoḌ kar
kāTne haiñ ratjage paḌhte hue dīvān-e-mīr
jāgnā hai umr bhar nīndeñ sirhāne chhoḌ kar
rah ga.iiñ vīrān kachchī sī saḌak par hichkiyāñ
chal paḌī gaaḌī kisī ke haath hilte chhoḌ kar
dekh le maiñ ne mukammal kar liye haiñ āḳhirash
tū gayā thā mujh meñ apne naqsh aadhe chhoḌ kar
titliyan jugnu shajar KHushbu parinde chhoD kar
hans rahi hun KHwab sare main adhure chhoD kar
jis ki aankhon ne likha tha aaKHiri nauha mera
wo gaya bhi to gaya hai sab se pahle chhoD kar
DhunDhti phirti hun apne aap ko kuchh is tarah
aa gai hun jis tarah main KHud ko pichhe chhoD kar
kaTne hain ratjage paDhte hue diwan-e-mir
jagna hai umr bhar ninden sirhane chhoD kar
rah gain viran kachchi si saDak par hichkiyan
chal paDi gaDi kisi ke hath hilte chhoD kar
dekh le main ne mukammal kar liye hain aaKHirash
tu gaya tha mujh mein apne naqsh aadhe chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.