titliyan pakaDne ka mashghala laDakpan ka
titliyāñ pakaḌne kā mashġhala laḌakpan kā
rang ab bhī gahrā hai tere mere bachpan kā
raat ke añdhere meñ kuchh pata nahīñ chaltā
jaane kaun chuntā hai shor dil kī dhaḌkan kā
raat kī ḳhamoshī meñ mujh se baat kartā hai
mere dukh kā sāthī hai phuul tere āñgan kā
yaar us jazīre par jaane kaun rahtā hai
din Dhale jo chheḌe hai raag mere jīvan kā
us taraf kā manzar bhī muntazir thā āñkhoñ kā
TūTnā zarūrī thā zindagī ke darpan kā
titliyan pakaDne ka mashghala laDakpan ka
rang ab bhi gahra hai tere mere bachpan ka
raat ke andhere mein kuchh pata nahin chalta
jaane kaun chunta hai shor dil ki dhaDkan ka
raat ki KHamoshi mein mujh se baat karta hai
mere dukh ka sathi hai phul tere aangan ka
yar us jazire par jaane kaun rahta hai
din Dhale jo chheDe hai rag mere jiwan ka
us taraf ka manzar bhi muntazir tha aankhon ka
TuTna zaruri tha zindagi ke darpan ka
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 64)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.