to ab haalat mein apni yun bhi tabdili nahin hoti
to ab hālat meñ apnī yuuñ bhī tabdīlī nahīñ hotī
ye miTTī ḳhuun bhī pī kar kabhī giilī nahīñ hotī
huā jaatā hai qudrat ke usūloñ meñ daḳhīl insāñ
havā ab to december meñ bhī barfīlī nahīñ hotī
chalo āñkhoñ se ab ke baat kar ke dekhte haiñ ham
zabāñ se baat to hotī hai tafsīlī nahīñ hotī
vo jo mahsūs kartī hai bayāñ kartī hai ab khul kar
ġhazal pahle zamāne jaisī sharmīlī nahīñ hotī
hameñ hai shauq aisā Thokaroñ ko āzmāne kā
ki us rah par nahīñ chalte jo pathrīlī nahīñ hotī
sambhal kar ai 'obaid'-e-ḳhush-gumāñ rahnā Thahar kar yaañ
bilā maqsad miyāñ rassī kabhī Dhīlī nahīñ hotī
to ab haalat mein apni yun bhi tabdili nahin hoti
ye miTTi KHun bhi pi kar kabhi gili nahin hoti
hua jata hai qudrat ke usulon mein daKHil insan
hawa ab to december mein bhi barfili nahin hoti
chalo aankhon se ab ke baat kar ke dekhte hain hum
zaban se baat to hoti hai tafsili nahin hoti
wo jo mahsus karti hai bayan karti hai ab khul kar
ghazal pahle zamane jaisi sharmili nahin hoti
hamein hai shauq aisa Thokaron ko aazmane ka
ki us rah par nahin chalte jo pathrili nahin hoti
sambhal kar ai 'obaid'-e-KHush-guman rahna Thahar kar yan
bila maqsad miyan rassi kabhi Dhili nahin hoti
- Book : سخن دریا (Pg. 54)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.