to kya gar wo dilon mein faslon ko chhoD jate hain
to kyā gar vo diloñ meñ fāsloñ ko chhoḌ jaate haiñ
sabhī gāhak hī TuuTe ā.inoñ ko chhoḌ jaate haiñ
hamāre kahne pe is jang meñ kuchh bhī nahīñ ruktā
tumhāre kahne pe dushman safoñ ko chhoḌ jaate haiñ
mujhe patjhaḌ ke mausam ne sikhāyā hijr kā matlab
ki kaise sūkhe patte Tahniyoñ ko chhoḌ jaate haiñ
na.e shahroñ meñ bachchoñ ke liye ghar lete haiñ māñ-bāp
vahī bachche baḌe ho kar gharoñ ko chhoḌ jaate haiñ
khilaune paane kī nākām hasrat se bhare bachche
chale jaate haiñ meloñ se diloñ ko chhoḌ jaate haiñ
purānī yādoñ ke bāġhīche ko jab yaad karte haiñ
vo kāñTe biin lete haiñ guloñ ko chhoḌ jaate haiñ
to kya gar wo dilon mein faslon ko chhoD jate hain
sabhi gahak hi TuTe aainon ko chhoD jate hain
hamare kahne pe is jang mein kuchh bhi nahin rukta
tumhaare kahne pe dushman safon ko chhoD jate hain
mujhe patjhaD ke mausam ne sikhaya hijr ka matlab
ki kaise sukhe patte Tahniyon ko chhoD jate hain
nae shahron mein bachchon ke liye ghar lete hain man-bap
wahi bachche baDe ho kar gharon ko chhoD jate hain
khilaune pane ki nakaam hasrat se bhare bachche
chale jate hain melon se dilon ko chhoD jate hain
purani yaadon ke baghiche ko jab yaad karte hain
wo kanTe bin lete hain gulon ko chhoD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.