to phir kya rah-e-hasti mein koi nazuk maqam aaya
to phir kyā rāh-e-hastī meñ koī nāzuk maqām aayā
zabāñ par aaj ye be-sāḳhta kyoñ un kā naam aayā
kahāñ tak ehtiyāt-e-sajda hotī rāh-e-ulfat meñ
kahīñ tūr-e-nazar aayā kahīñ dil kā maqām aayā
judā maqsad judā mashrab judā rāheñ judā manzil
na duniyā mere kaam aa.ī na maiñ duniyā ke kaam aayā
karishma-sāzī-e-fikr-o-nazar kā pūchhnā kyā hai
tulū-e-sub.h se pahle mujhe paiġhām-e-shām aayā
jahāñ par phuul khilte the vahāñ kāñTe hue paidā
ye kis ke dast-e-qudrat meñ gulistāñ kā nizām aayā
ḳhudā mālūm vo haiñ yā hai nairañgī tasavvur kī
nazar ke sāmne ik paikar-e-husn-e-tamām aayā
hayāt-o-maut ko ye kashmakash dekhī nahīñ jaatī
ajal is samt aa.ī us taraf un kā payām aayā
'ḳhalish' fitrat kī gul-afshāniyāñ mere hī dam tak thiiñ
na phir koī naved aa.ī na phir koī payām aayā
to phir kya rah-e-hasti mein koi nazuk maqam aaya
zaban par aaj ye be-saKHta kyon un ka nam aaya
kahan tak ehtiyat-e-sajda hoti rah-e-ulfat mein
kahin tur-e-nazar aaya kahin dil ka maqam aaya
juda maqsad juda mashrab juda rahen juda manzil
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya
karishma-sazi-e-fikr-o-nazar ka puchhna kya hai
tulu-e-subh se pahle mujhe paigham-e-sham aaya
jahan par phul khilte the wahan kanTe hue paida
ye kis ke dast-e-qudrat mein gulistan ka nizam aaya
KHuda malum wo hain ya hai nairangi tasawwur ki
nazar ke samne ek paikar-e-husn-e-tamam aaya
hayat-o-maut ko ye kashmakash dekhi nahin jati
ajal is samt aai us taraf un ka payam aaya
'KHalish' fitrat ki gul-afshaniyan mere hi dam tak thin
na phir koi nawed aai na phir koi payam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.