to us pe aur hamein shiddaton se pyar aaya
to us pe aur hameñ shiddatoñ se pyaar aaya
hamāre paas vo jab ho ke be-qarār aaya
vo jin ko maiñ ne sikhāyā thā hañste rahne kā fan
unhī kī bazm se maiñ aaj ashk-bār aaya
kisī ko chhūte hue thā mujhe kisī kā ḳhayāl
maiñ aaj naqsh kisī kā kahīñ utaar aaya
tumhārī yaad hī aa.ī ziyāda-tar ham ko
tumhārā zikr to varna bas ek baar aaya
maiñ jāntā bhī thā koī nahīñ sunegā mirī
kisī ko vaqt-e-zarūrat magar pukār aaya
kabhī hamīñ ne nahīñ kī nigāh us kī taraf
hamārī raah meñ vo to hazār baar aaya
to us pe aur hamein shiddaton se pyar aaya
hamare pas wo jab ho ke be-qarar aaya
wo jin ko main ne sikhaya tha hanste rahne ka fan
unhi ki bazm se main aaj ashk-bar aaya
kisi ko chhute hue tha mujhe kisi ka KHayal
main aaj naqsh kisi ka kahin utar aaya
tumhaari yaad hi aai ziyaada-tar hum ko
tumhaara zikr to warna bas ek bar aaya
main jaanta bhi tha koi nahin sunega meri
kisi ko waqt-e-zarurat magar pukar aaya
kabhi hamin ne nahin ki nigah us ki taraf
hamari rah mein wo to hazar bar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.