to yun kaho na dilon ka shikar karna hai
to yuuñ kaho nā diloñ kā shikār karnā hai
havā ke saath safar iḳhtiyār karnā hai
bajā ki zaḳhm na ginvā.eñge magar jānāñ
vo phuul kitne haiñ jin kā shumār karnā hai
ġhurūr-o-tamkanat-o-jahl se nibhā lenā
farāz-e-koh ko goyā ġhubār karnā hai
vo bad-sarisht parinda hai us kā maslak hī
jo pak ga.e vo samar dāġh-dār karnā hai
use bhī raat ga.e be-charāġh honā hai
hameñ bhī chauk meñ kuchh intizār karnā hai
vo ek ashk jo mandūb dil kā kahlā.e
vo ek jhiil jise ābshār karnā hai
to yun kaho na dilon ka shikar karna hai
hawa ke sath safar iKHtiyar karna hai
baja ki zaKHm na ginwaenge magar jaanan
wo phul kitne hain jin ka shumar karna hai
ghurur-o-tamkanat-o-jahl se nibha lena
faraaz-e-koh ko goya ghubar karna hai
wo bad-sarisht parinda hai us ka maslak hi
jo pak gae wo samar dagh-dar karna hai
use bhi raat gae be-charagh hona hai
hamein bhi chauk mein kuchh intizar karna hai
wo ek ashk jo mandub dil ka kahlae
wo ek jhil jise aabshaar karna hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 541)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.