toD dete qasam chale aate
toḌ dete qasam chale aate
tum na aate to ham chale aate
apnī palkeñ bhī ham bichhā dete
tum agar do qadam chale aate
kuchh to dete sila vafāoñ kā
kuchh to rakhte bharam chale aate
zaḳhm dil ke purāne bharne lage
le ke tīr-e-sitam chale aate
aable haiñ ye nā-rasā.ī ke
dard hotā jo kam chale aate
tum ne ḳhud hī sadā na dī varna
sar ke bal ham sanam chale aate
khol detā jo dil kā darvāza
saarī duniyā ke ġham chale aate
chashm-e-sāqī bulā rahī hai 'fahīm'
tum jo hote baham chale aate
toD dete qasam chale aate
tum na aate to hum chale aate
apni palken bhi hum bichha dete
tum agar do qadam chale aate
kuchh to dete sila wafaon ka
kuchh to rakhte bharam chale aate
zaKHm dil ke purane bharne lage
le ke tir-e-sitam chale aate
aable hain ye na-rasai ke
dard hota jo kam chale aate
tum ne KHud hi sada na di warna
sar ke bal hum sanam chale aate
khol deta jo dil ka darwaza
sari duniya ke gham chale aate
chashm-e-saqi bula rahi hai 'fahim'
tum jo hote baham chale aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.