toD di sare jahan se dosti achchha kiya
toḌ dī saare jahāñ se dostī achchhā kiyā
aur ḳhud se bhī koī ḳhvāhish na kī achchhā kiyā
ik qasam jo rok saktī thī hamārī ruḳhsatī
ḳhair tum ne vo qasam ham ko na dī achchhā kiyā
lauTtā to dekhtā kuchh aur pairoñ ke nishān
par na lauTā maiñ kabhī us kī galī achchhā kiyā
logoñ kā bartāv to thā hī bahut bekār par
ḳhud se maiñ ne kaun sā ḳhud bhī kabhī achchhā kiyā
ab to jhūTe muñh bhī tum kahte nahīñ ho pyaar hai
tum ne āḳhir chhoḌ hī dī dil-lagī achchhā kiyā
toD di sare jahan se dosti achchha kiya
aur KHud se bhi koi KHwahish na ki achchha kiya
ek qasam jo rok sakti thi hamari ruKHsati
KHair tum ne wo qasam hum ko na di achchha kiya
lauTta to dekhta kuchh aur pairon ke nishan
par na lauTa main kabhi us ki gali achchha kiya
logon ka bartaw to tha hi bahut bekar par
KHud se main ne kaun sa KHud bhi kabhi achchha kiya
ab to jhuTe munh bhi tum kahte nahin ho pyar hai
tum ne aaKHir chhoD hi di dil-lagi achchha kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.