toD di zanjir rishton ki parae shahr mein
toḌ dī zanjīr rishtoñ kī parā.e shahr meñ
baat sadiyoñ kī na lamhoñ kī parā.e shahr meñ
ek hī shiddat ke jhoñke se bikhar ke rah ga.ī
zindagī thī kachche dhāgoñ kī parā.e shahr meñ
dost thā koī na dushman hī ki samjhātā mujhe
be-bahā hai khoj ḳhushiyoñ kī parā.e shahr meñ
mah-ruḳhoñ zohra-jabīnoñ kī na ab pariyoñ kī baat
har taraf hai misl hūroñ kī parā.e shahr meñ
sab hī jhūTī shān-o-shaukat ke nashe meñ chuur haiñ
kis ko hotī qadr jazboñ kī parā.e shahr meñ
phūl-ghar ham ne banāne ko kahā thā aur vo
rakh gayā buniyād kāñToñ kī parā.e shahr meñ
sang jo bhī jis jagah dekhā use paikar diyā
ye 'ibādat maiñ ne barsoñ kī parā.e shahr meñ
ajnabī shāḳhoñ pe baiThe the jab aa.e lauT kar
merī hālat thī parindoñ kī parā.e shahr meñ
fāsle tai kar ke 'īraj' aa gayā huuñ dasht se
phir na yaad aa.ī ġhazāloñ kī parā.e shahr meñ
toD di zanjir rishton ki parae shahr mein
baat sadiyon ki na lamhon ki parae shahr mein
ek hi shiddat ke jhonke se bikhar ke rah gai
zindagi thi kachche dhagon ki parae shahr mein
dost tha koi na dushman hi ki samjhata mujhe
be-baha hai khoj KHushiyon ki parae shahr mein
mah-ruKHon zohra-jabinon ki na ab pariyon ki baat
har taraf hai misl huron ki parae shahr mein
sab hi jhuTi shan-o-shaukat ke nashe mein chur hain
kis ko hoti qadr jazbon ki parae shahr mein
phul-ghar hum ne banane ko kaha tha aur wo
rakh gaya buniyaad kanTon ki parae shahr mein
sang jo bhi jis jagah dekha use paikar diya
ye 'ibaadat main ne barson ki parae shahr mein
ajnabi shaKHon pe baiThe the jab aae lauT kar
meri haalat thi parindon ki parae shahr mein
fasle tai kar ke 'iraj' aa gaya hun dasht se
phir na yaad aai ghazalon ki parae shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.