toḌ kar siina mirā nāvak-e-qātil niklā
hazrat-e-ishq madad ho ki mirā dil niklā
dostī kī ho bhalā kis se zamāne meñ ummīd
dushman-e-jāñ mire pahlū meñ mirā dil niklā
jis ke baa.is se huī dasht-navardī pahle
phir mire paañv meñ afsos vahī til niklā
thā isī shakl pe yaktā.ī kā da.avā tujh ko
aa.ine meñ ye tirā kaun muqābil niklā
hijr meñ āñkhoñ ne ye qatra-e-ḳhūñ Tapkā.e
jis ko chuTkī se dabāyā vo mirā dil niklā
husn-e-yūsuf ko to sun sun ke bahut bigḌe the
chāñd par ḳhaak na Daalī jo muqābil niklā
āshiq-e-haidar-e-karrār huā is se 'shafīq'
koī duniyā meñ na haidar kā muqābil niklā
toD kar sina mera nawak-e-qatil nikla
hazrat-e-ishq madad ho ki mera dil nikla
dosti ki ho bhala kis se zamane mein ummid
dushman-e-jaan mere pahlu mein mera dil nikla
jis ke bais se hui dasht-nawardi pahle
phir mere panw mein afsos wahi til nikla
tha isi shakl pe yaktai ka dawa tujh ko
aaine mein ye tera kaun muqabil nikla
hijr mein aankhon ne ye qatra-e-KHun Tapkae
jis ko chuTki se dabaya wo mera dil nikla
husn-e-yusuf ko to sun sun ke bahut bigDe the
chand par KHak na Dali jo muqabil nikla
aashiq-e-haidar-e-karrar hua is se 'shafiq'
koi duniya mein na haidar ka muqabil nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.