tohmat-e-hasrat-e-parvāz na mujh par bāñdhe
vaj.h kyā khol ke sayyād ne phir par bāñdhe
bāġhbāñ ghaat meñ sayyād hamesha maujūd
āshiyāñ baaġh meñ bulbul kaho kyūñkar bāñdhe
jo chhurī dekh ke qassāb kī tharrāte the
shān-e-haq hai vahī ab phirte haiñ ḳhanjar bāñdhe
kal kiyā thā jo mire chāk-e-garebāñ meñ rafū
is ḳhatā par ga.e haiñ aaj rafū-gar bāñdhe
ho chukā thā jo mire tez-parī se āgāh
chust kar ke mire sayyād ne shahpar bāñdhe
sho.arā khā.eñge kyā kyā na abhī to dhoke
sarv bāñdhe koī us qad ko sanobar bāñdhe
mo'jiza lab tirā goyā kare ai rashk-e-kalīm
jo zabāñ sehr se ye chashm-e-fusūñ-gar bāñdhe
mutma.in baiTh tū sayyād na kar qaid-e-shadīd
huuñ maiñ pāband-e-mohabbat tirā be-par bāñdhe
bāġh-e-ālam meñ usī ke liye hai nashv-o-numā
sūrat-e-ġhuncha rahe gāñTh meñ jo zar bāñdhe
bosa māñgā jo shab-e-vasl to bolā hañs kar
kahīñ aisā na ho har roz kī tū kar bāñdhe
dil kī betābī se Tāñke mire sab TuuT ga.e
paTTī jarrāh kaho zaḳhm pe kyūñkar bāñdhe
le to jā.egā ḳhat-e-shauq magar rashk ye hai
āshiyāñ baam par us ke na kabūtar bāñdhe
ummatī kyā kareñ aljūa na chillā.eñ agar
bhuuk meñ jabki nabī peT pe patthar bāñdhe
iftirā karne meñ tūfān hai vo shoḳh-e-zarīf
tūtiyā taaza koī aur na mujh par bāñdhe
mujh sā mahram tire mahram kā na hogā koī
beshtar khol diye band aur aksar bāñdhe
dast-e-san.at se bane us ke agar tujh sā but
kyuuñ havā apnī ḳhudā.ī kī na aazar bāñdhe
shā'irī ke liye lāzim hai talāzum na chhuTe
la.al lab ko tire tū dāñtoñ ko gauhar bāñdhe
pā-e-raftār agar hote to chaltā-phirtā
'rind' murdā sā paḌā rahtā na yuuñ sar bāñdhe
tohmat-e-hasrat-e-parwaz na mujh par bandhe
wajh kya khol ke sayyaad ne phir par bandhe
baghban ghat mein sayyaad hamesha maujud
aashiyan bagh mein bulbul kaho kyunkar bandhe
jo chhuri dekh ke qassab ki tharraate the
shan-e-haq hai wahi ab phirte hain KHanjar bandhe
kal kiya tha jo mere chaak-e-gareban mein rafu
is KHata par gae hain aaj rafu-gar bandhe
ho chuka tha jo mere tez-pari se aagah
chust kar ke mere sayyaad ne shahpar bandhe
shoara khaenge kya kya na abhi to dhoke
sarw bandhe koi us qad ko sanobar bandhe
mo'jiza lab tera goya kare ai rashk-e-kalim
jo zaban sehr se ye chashm-e-fusun-gar bandhe
mutmain baiTh tu sayyaad na kar qaid-e-shadid
hun main paband-e-mohabbat tera be-par bandhe
bagh-e-alam mein usi ke liye hai nashw-o-numa
surat-e-ghuncha rahe ganTh mein jo zar bandhe
bosa manga jo shab-e-wasl to bola hans kar
kahin aisa na ho har roz ki tu kar bandhe
dil ki betabi se Tanke mere sab TuT gae
paTTi jarrah kaho zaKHm pe kyunkar bandhe
le to jaega KHat-e-shauq magar rashk ye hai
aashiyan baam par us ke na kabutar bandhe
ummati kya karen aljua na chillaen agar
bhuk mein jabki nabi peT pe patthar bandhe
iftira karne mein tufan hai wo shoKH-e-zarif
tutiya taza koi aur na mujh par bandhe
mujh sa mahram tere mahram ka na hoga koi
beshtar khol diye band aur aksar bandhe
dast-e-sanat se bane us ke agar tujh sa but
kyun hawa apni KHudai ki na aazar bandhe
sha'iri ke liye lazim hai talazum na chhuTe
lal lab ko tere tu danton ko gauhar bandhe
pa-e-raftar agar hote to chalta-phirta
'rind' murda sa paDa rahta na yun sar bandhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.