tughyaniyon ka jitna ghurur aur baDh gaya
tuġhyāniyoñ kā jitnā ġhurūr aur baḌh gayā
utnā hī merā azm-e-ubūr aur baḌh gayā
ghabrā rahe the log ki bujh jā.egā charāġh
lekin havā-e-tez meñ nuur aur baḌh gayā
is vāqiye se pahle use jāntā thā kaun
muusā kī vajah se qad-e-tūr aur baḌh gayā
jitnā jakaḌ ke rakkhā thā sayyād ne unheñ
itnā hī kārvān-e-tuyūr aur baḌh gayā
kyā saath saath aaoge pūchhā jo dard ne
dil ne kahā janāb zarūr aur baḌh gayā
dil meñ dabā huā thā nasha ishq kā magar
un se milī nazar to surūr aur baḌh gayā
tughyaniyon ka jitna ghurur aur baDh gaya
utna hi mera azm-e-ubur aur baDh gaya
ghabra rahe the log ki bujh jaega charagh
lekin hawa-e-tez mein nur aur baDh gaya
is waqiye se pahle use jaanta tha kaun
musa ki wajah se qad-e-tur aur baDh gaya
jitna jakaD ke rakkha tha sayyaad ne unhen
itna hi karwan-e-tuyur aur baDh gaya
kya sath sath aaoge puchha jo dard ne
dil ne kaha janab zarur aur baDh gaya
dil mein daba hua tha nasha ishq ka magar
un se mili nazar to surur aur baDh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.