tujh bin pyara pyara mausam hai kitna bechain
Interesting Fact
ابن انشا کی یاد میں
tujh bin pyārā pyārā mausam hai kitnā bechain
shāḳheñ larzāñ ḳhushbū hairāñ aur havā bechain
kho ga.ī hirnī jaisī āñkhoñ vaalī us kī gaa.e
jangal jangal ghūmne vaalā banjārā bechain
giilī giilī lakḌī jaisī sulge man kī pyaas
apnī maujoñ meñ rah kar bhī hai dariyā bechain
us ko bhī lo piine paḌ ga.e kaḌve kaḌve ghūñT
ras-bhare nainā mīThī chitvan aur sapnā bechain
baaġh meñ jhūlā Daal ke jhūle sakhī sahelī sang
jab pardesī kī yaad aa.e ho manvā bechain
galiyoñ galiyoñ ghūme machhlī apnā bhaav batā.e
jaal meñ uljhā uljhā māñjhī be-chārā bechain
narm kañval sā ang dukhoñ kī jhiil meñ Duubā jaa.e
niir kī piiḌā jaagī to vo aur huā bechain
gir gayā jholī se jo ḳhat thā ik gorī ke naam
ḳhat pardes se laane vaalā harkāra bechain
kin khetoñ meñ kho ga.e us ke chāñdī jaise paañv
gaañv kī pagDanDī tak jā kar hai rasta bechain
kitnī āñkheñ aisī haiñ jo samjheñ us ke bol
āñchal āñchal mahkā mahkā sandesā bechain
gāgar kā paanī chhalke to pallū bhīgā jaa.e
aise meñ man kī agnī ne aur kiyā bechain
be-tartīb badan se so.e chhat par gahrī niiñd
puurī raat ākāsh ke uupar chāñd rahā bechain
donoñ Thahre man ke rasīle apne apne bhaag
vo albelī chanchal titlī maiñ bhauñrā bechain
ghar se panghaT kitnī duurī chauñke aur ruk jaa.e
apnī bagiyā se niklī to hai chiḌiyā bechain
dekheñ kis kis ghaaT phirā.e us ko merī pyaas
sar par kHālī gāgar rakkhe hai rādhā bechain
'inshā' jī kī yaad meñ likkhe ham ne bhī kuchh sher
'faizī' us ke sog meñ āḳhir kaun na thā bechain
tujh bin pyara pyara mausam hai kitna bechain
shaKHen larzan KHushbu hairan aur hawa bechain
kho gai hirni jaisi aankhon wali us ki gae
jangal jangal ghumne wala banjara bechain
gili gili lakDi jaisi sulge man ki pyas
apni maujon mein rah kar bhi hai dariya bechain
us ko bhi lo pine paD gae kaDwe kaDwe ghunT
ras-bhare naina miThi chitwan aur sapna bechain
bagh mein jhula Dal ke jhule sakhi saheli sang
jab pardesi ki yaad aae ho manwa bechain
galiyon galiyon ghume machhli apna bhaw batae
jal mein uljha uljha manjhi be-chaara bechain
narm kanwal sa ang dukhon ki jhil mein Duba jae
nir ki piDa jagi to wo aur hua bechain
gir gaya jholi se jo KHat tha ek gori ke nam
KHat pardes se lane wala harkara bechain
kin kheton mein kho gae us ke chandi jaise panw
ganw ki pagDanDi tak ja kar hai rasta bechain
kitni aankhen aisi hain jo samjhen us ke bol
aanchal aanchal mahka mahka sandesa bechain
gagar ka pani chhalke to pallu bhiga jae
aise mein man ki agni ne aur kiya bechain
be-tartib badan se soe chhat par gahri nind
puri raat aakash ke upar chand raha bechain
donon Thahre man ke rasile apne apne bhag
wo albeli chanchal titli main bhaunra bechain
ghar se panghaT kitni duri chaunke aur ruk jae
apni bagiya se nikli to hai chiDiya bechain
dekhen kis kis ghaT phirae us ko meri pyas
sar par kHali gagar rakkhe hai radha bechain
'insha' ji ki yaad mein likkhe hum ne bhi kuchh sher
'faizi' us ke sog mein aaKHir kaun na tha bechain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.