tujhko aate hi nahin chhupne ke andaz abhi
tujhko aate hi nahin chhupne ke andaz abhi
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
tujh ko aate hī nahīñ chhupne ke andāz abhī
mire siine meñ hai larzāñ tirī āvāz abhī
us ne dekhā hī nahīñ dard kā āġhāz abhī
ishq ko apnī tamannāoñ pe hai naaz abhī
tujh ko manzil pe pahuñchne kā hai da.avā hamdam
mujh ko anjām nazar aatā hai āġhāz abhī
kis qadar gosh-bar-āvāz hai ḳhāmoshī-e-shab
koī naala ki hai fariyād kā dar baaz abhī
mire chehre kī hañsī rañg-e-shikasta merā
tere ashkoñ meñ tabassum kā hai andāz abhī
tujh ko aate hi nahin chhupne ke andaz abhi
mere sine mein hai larzan teri aawaz abhi
us ne dekha hi nahin dard ka aaghaz abhi
ishq ko apni tamannaon pe hai naz abhi
tujh ko manzil pe pahunchne ka hai dawa hamdam
mujh ko anjam nazar aata hai aaghaz abhi
kis qadar gosh-bar-awaz hai KHamoshi-e-shab
koi nala ki hai fariyaad ka dar baz abhi
mere chehre ki hansi rang-e-shikasta mera
tere ashkon mein tabassum ka hai andaz abhi
- Book : Junoon (Pg. 239)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.