tujhko apna yahan banae kaun
tujh ko apnā yahāñ banā.e kaun
aur mohabbat meñ āzmā.e kaun
har taraf nafratoñ kī āñdhī hai
pyaar ke diip ab jalā.e kaun
ab khilaune bhī ho ga.e mahñge
mere bachchoñ ko ye batā.e kaun
koī apnā nazar nahīñ aatā
paas apne mujhe bulā.e kaun
ab ḳhushī kā nahīñ hai nām-o-nishāñ
dil meñ ho ġham to muskurā.e kaun
shahr meñ har taraf hai ḳhāmoshī
hāl-e-dil apnā ab sunā.e kaun
koī apnā nahīñ yahāñ 'mahtāb'
baat bigḌī huī banā.e kaun
tujh ko apna yahan banae kaun
aur mohabbat mein aazmae kaun
har taraf nafraton ki aandhi hai
pyar ke dip ab jalae kaun
ab khilaune bhi ho gae mahnge
mere bachchon ko ye batae kaun
koi apna nazar nahin aata
pas apne mujhe bulae kaun
ab KHushi ka nahin hai nam-o-nishan
dil mein ho gham to muskurae kaun
shahr mein har taraf hai KHamoshi
haal-e-dil apna ab sunae kaun
koi apna nahin yahan 'mahtab'
baat bigDi hui banae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.