tujhko bura lagega magar sach yahi hai dost
tujh ko burā lagegā magar sach yahī hai dost
duniyā tire baġhair bhī achchhī lagī hai dost
maiñ jis jagah nahīñ thā vahāñ bhī milā tujhe
ḳhud ko zarā sañbhāl ye dīvāngī hai dost
kar ke purānī baat koī fā.eda nahīñ
ma.alūm hai mujhe tirī duniyā na.ī hai dost
le ab tirī galī ko rah-e-ām kar diyā
vo dostī thī aur ye mirī dushmanī hai dost
bojhal hai terī aañkh tujhe sonā chāhiye
chhoTī hai raat merī kahānī baḌī hai dost
'kāshif' ġhazal se lafz-e-ḳhasāra nikāl de
ye koī kārobār nahīñ shā.erī hai dost
tujh ko bura lagega magar sach yahi hai dost
duniya tere baghair bhi achchhi lagi hai dost
main jis jagah nahin tha wahan bhi mila tujhe
KHud ko zara sanbhaal ye diwangi hai dost
kar ke purani baat koi faeda nahin
malum hai mujhe teri duniya nai hai dost
le ab teri gali ko rah-e-am kar diya
wo dosti thi aur ye meri dushmani hai dost
bojhal hai teri aankh tujhe sona chahiye
chhoTi hai raat meri kahani baDi hai dost
'kashif' ghazal se lafz-e-KHasara nikal de
ye koi karobar nahin shaeri hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.