tujhko chhua to ghaaliya-sai nahin gai
tujh ko chhuā to ġhāliya-sā.ī nahīñ ga.ī
hāthoñ se bū-e-nāfā-kushā.ī nahīñ ga.ī
ab zindagī ne raah meñ maḳhmal bichhā diye
lekin hamārī ābla-pā.ī nahīñ ga.ī
tujh se bichhaḌ ke ham ko zamāna huā magar
lahje se ab bhī nauha-sarā.ī nahīñ ga.ī
tujh ko gañvā ke lauTe the ik shaam ghar ko ham
ab tak vo shaam ham se bhulā.ī nahīñ ga.ī
phir ham ne tere baad bhī ik umr kaaT lī
pahle-pahal to shaam bitā.ī nahīñ ga.ī
apnā bhī ishq masnavī sahr-ul-bayān hai
lekin ye dāstān sunā.ī nahīñ ga.ī
tujh ko chhua to ghaaliya-sai nahin gai
hathon se bu-e-nafa-kushai nahin gai
ab zindagi ne rah mein maKHmal bichha diye
lekin hamari aabla-pai nahin gai
tujh se bichhaD ke hum ko zamana hua magar
lahje se ab bhi nauha-sarai nahin gai
tujh ko ganwa ke lauTe the ek sham ghar ko hum
ab tak wo sham hum se bhulai nahin gai
phir hum ne tere baad bhi ek umr kaT li
pahle-pahal to sham bitai nahin gai
apna bhi ishq masnawi sahr-ul-bayan hai
lekin ye dastan sunai nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.