tujhko dekhe to han nikalta hai
tujh ko dekhe to haañ nikaltā hai
din bhī varna kahāñ nikaltā hai
pyaas jab eḌiyāñ ragaḌtī hai
ek chashma vahāñ nikaltā hai
shaam Dhalte hī dil se yādoñ kā
halkā halkā dhuāñ nikaltā hai
āzmāne ke baa'd duniyā meñ
har ta'alluq gumāñ nikaltā hai
thāmtī huuñ agar zamīñ ko maiñ
haath se āsmāñ nikaltā hai
jaane kyoñ ek sar-phirā kirdār
chhoḌ kar dāstāñ nikaltā hai
dekh kar un ko bazm meñ 'ambar'
haath se dil yahāñ nikaltā hai
tujh ko dekhe to han nikalta hai
din bhi warna kahan nikalta hai
pyas jab eDiyan ragaDti hai
ek chashma wahan nikalta hai
sham Dhalte hi dil se yaadon ka
halka halka dhuan nikalta hai
aazmane ke ba'd duniya mein
har ta'alluq guman nikalta hai
thamti hun agar zamin ko main
hath se aasman nikalta hai
jaane kyon ek sar-phira kirdar
chhoD kar dastan nikalta hai
dekh kar un ko bazm mein 'ambar'
hath se dil yahan nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.