tujhko dil mein basa liya maine
tujh ko dil meñ basā liyā maiñ ne
apnā sāthī banā liyā maiñ ne
terī yādoñ kā dil kī duniyā meñ
ek mela sajā liyā maiñ ne
tujh ko dā'vā thā dil-navāzī kā
tujh ko bhī aazmā liyā maiñ ne
ḳhud bhī hairāñ huuñ kis tarah āḳhir
ye ta'alluq nibhā liyā maiñ ne
vo mirī dastaras se bāhar hai
jis ko maqsad banā liyā maiñ ne
dar pe sūraj ke dastakeñ de kar
haath apnā jalā liyā maiñ ne
tujh ko dil mein basa liya main ne
apna sathi bana liya main ne
teri yaadon ka dil ki duniya mein
ek mela saja liya main ne
tujh ko da'wa tha dil-nawazi ka
tujh ko bhi aazma liya main ne
KHud bhi hairan hun kis tarah aaKHir
ye ta'alluq nibha liya main ne
wo meri dastaras se bahar hai
jis ko maqsad bana liya main ne
dar pe suraj ke dastaken de kar
hath apna jala liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.