tujhko hathon ki lakiron mein basaya jae
tujh ko hāthoñ kī lakīroñ meñ basāyā jaa.e
tere har dard ko suulī pe chaḌhāyā jaa.e
ghar se bhāgī huī laḌkī kī tarah hai jīvan
is ko māñ-bāp ke ghar chhoḌ ke aayā jaa.e
zindagī talḳh savāloñ ke hoñ panne jaise
in savāloñ ko syllabus se haTāyā jaa.e
ab munāsib nahīñ rishte ko musalsal rakhnā
mere ḳhat ko kisī dariyā meñ bahāyā jaa.e
raat meñ rone se māñ-bāp pareshāñ hoñge
apne jazbāt ko takiye meñ chhupāyā jaa.e
bhuuk zoroñ se lagī ho to ḳhudā kyā kiije
khoTe sikke ko añdhere meñ chalāyā jaa.e
tujh ko hathon ki lakiron mein basaya jae
tere har dard ko suli pe chaDhaya jae
ghar se bhagi hui laDki ki tarah hai jiwan
is ko man-bap ke ghar chhoD ke aaya jae
zindagi talKH sawalon ke hon panne jaise
in sawalon ko syllabus se haTaya jae
ab munasib nahin rishte ko musalsal rakhna
mere KHat ko kisi dariya mein bahaya jae
raat mein rone se man-bap pareshan honge
apne jazbaat ko takiye mein chhupaya jae
bhuk zoron se lagi ho to KHuda kya kije
khoTe sikke ko andhere mein chalaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.