tujhko har moD pe hum log dikhai denge
tujh ko har moḌ pe ham log dikhā.ī deñge
maañg ke dekh tujhe aaj ḳhudā.ī deñge
chand lamhoñ ke liye ḳhud ko tū ab sauñp hī de
tujh ko har soch meñ ham aaj sujhā.ī deñge
itnā āsāñ nahīñ ye haath jhaTak kar jaanā
suur par bhī tujhe ham hī to sunā.ī deñge
tū ab is ruuh se sanjog kā jokhim sah le
tujh ko madfūn ḳhazānoñ kī rasā.ī deñge
sochte haiñ ki barī ḳhud ko karoge kaise
ham na boleñge magar dard sunā.ī deñge
qatl kar doge sar-e-rāh to 'shāhid' phir bhī
be-gunāhī kī tumhārī hī safā.ī deñge
tujh ko har moD pe hum log dikhai denge
mang ke dekh tujhe aaj KHudai denge
chand lamhon ke liye KHud ko tu ab saunp hi de
tujh ko har soch mein hum aaj sujhai denge
itna aasan nahin ye hath jhaTak kar jaana
sur par bhi tujhe hum hi to sunai denge
tu ab is ruh se sanjog ka jokhim sah le
tujh ko madfun KHazanon ki rasai denge
sochte hain ki bari KHud ko karoge kaise
hum na bolenge magar dard sunai denge
qatl kar doge sar-e-rah to 'shahid' phir bhi
be-gunahi ki tumhaari hi safai denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.