tujhko hi sochta rahun fursat nahin rahi
tujh ko hī sochtā rahūñ fursat nahīñ rahī
aur phir vo pahle vaalī tabī.at nahīñ rahī
tujh se bichhaḌ ke zinda rahā to pata chalā
ab is qadar bhī terī zarūrat nahīñ rahī
maiñ sard ho gayā huuñ ki ab tere lams meñ
guzrī rutoñ kī ātishīñ hiddat nahīñ rahī
āḳhir ko tere ġham bhī mujhe raas aa ga.e
shām-e-firāq meñ bhī vo shiddat nahīñ rahī
mujh ko pata chalā to maiñ hairān rah gayā
ham saath haiñ magar vo rifāqat nahīñ rahī
vo hichkiyoñ se rotā rahā aur maiñ chup rahā
shāyad ye sach hai mujh ko mohabbat nahīñ rahī
tujh ko hi sochta rahun fursat nahin rahi
aur phir wo pahle wali tabiat nahin rahi
tujh se bichhaD ke zinda raha to pata chala
ab is qadar bhi teri zarurat nahin rahi
main sard ho gaya hun ki ab tere lams mein
guzri ruton ki aatishin hiddat nahin rahi
aaKHir ko tere gham bhi mujhe ras aa gae
sham-e-firaq mein bhi wo shiddat nahin rahi
mujh ko pata chala to main hairan rah gaya
hum sath hain magar wo rifaqat nahin rahi
wo hichkiyon se rota raha aur main chup raha
shayad ye sach hai mujh ko mohabbat nahin rahi
- Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 78)
- Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
- Publication : Jahangir Books (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.