tujhko itna batane aaya hun
tujh ko itnā batāne aaya huuñ
terī qismat kā maiñ sitāra huuñ
ik nazar mujh ko ġhaur se dekho
kaisī ḳhvāhish huuñ kyā tamanna huuñ
merā har naqsh hai baqā terī
terī pahchān terā chehra huuñ
mujh meñ ābād ek duniyā hai
dekhne ko magar maiñ tanhā huuñ
sūrat-e-dīp ek muddat se
raat kī tīrgī meñ jaltā huuñ
phailne lagtā huuñ maiñ aur 'naqqāsh'
ḳhud meñ maiñ jis qadar simaTtā huuñ
tujh ko itna batane aaya hun
teri qismat ka main sitara hun
ek nazar mujh ko ghaur se dekho
kaisi KHwahish hun kya tamanna hun
mera har naqsh hai baqa teri
teri pahchan tera chehra hun
mujh mein aabaad ek duniya hai
dekhne ko magar main tanha hun
surat-e-dip ek muddat se
raat ki tirgi mein jalta hun
phailne lagta hun main aur 'naqqash'
KHud mein main jis qadar simaTta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.