tujhko jina hua pur-KHatar zindagi
tujh ko jiinā huā pur-ḳhatar zindagī
jaan legī tirī rahguzar zindagī
band hone ko āñkheñ ye betāb haiñ
kar de qissa zarā muḳhtasar zindagī
vaqt kī āñdhiy.oñ meñ kahīñ gir gayā
vo jo āñgan meñ thā ik shajar zindagī
aañkh ho goyā jaise samundar koī
ashk hoñ goyā lā'l-o-guhar zindagī
justujū ziist kī le ke jaatī rahī
har kisī ko yahāñ dar-ba-dar zindagī
laakh tum se agarche vo dā've kare
husn hotā nahīñ mo'tabar zindagī
tujh ko jina hua pur-KHatar zindagi
jaan legi teri rahguzar zindagi
band hone ko aankhen ye betab hain
kar de qissa zara muKHtasar zindagi
waqt ki aandhiyon mein kahin gir gaya
wo jo aangan mein tha ek shajar zindagi
aankh ho goya jaise samundar koi
ashk hon goya la'l-o-guhar zindagi
justuju zist ki le ke jati rahi
har kisi ko yahan dar-ba-dar zindagi
lakh tum se agarche wo da'we kare
husn hota nahin mo'tabar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.