tujhko lagta hai aarzi dukh hai
tujh ko lagtā hai 'ārzī dukh hai
us ke chehre pe dā.imī dukh hai
tīrgī se to us ko raġhbat hai
us kī āñkhoñ kī raushnī dukh hai
be-Thikāna rahā hai barsoñ se
ik musāfir kī be-gharī dukh hai
ik samundar hai jo ki chāhat kā
us ke jazboñ kī tishnagī dukh hai
koī sukh bhī milā na jīvan se
vāste us ke zindagī dukh hai
jāñ-kanī bhī 'azāb hai jis par
us se kah do ye āḳhirī dukh hai
maar kar chhāñv meñ nahīñ Daalā
haa.e apnoñ kī be-hisī dukh hai
tujh ko lagta hai 'arzi dukh hai
us ke chehre pe daimi dukh hai
tirgi se to us ko raghbat hai
us ki aankhon ki raushni dukh hai
be-Thikana raha hai barson se
ek musafir ki be-ghari dukh hai
ek samundar hai jo ki chahat ka
us ke jazbon ki tishnagi dukh hai
koi sukh bhi mila na jiwan se
waste us ke zindagi dukh hai
jaan-kani bhi 'azab hai jis par
us se kah do ye aaKHiri dukh hai
mar kar chhanw mein nahin Dala
hae apnon ki be-hisi dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.