tujhko malum nahin kya mere gham-KHwar rakhi
tujh ko mā'lūm nahīñ kyā mire ġham-ḳhvār rakhī
ek 'arzī dar-e-ulfat pe ka.ī baar rakhī
tujh se milne kī tamanna thī magar kyā kartā
vaqt ne biich meñ bārūd kī dīvār rakhī
sar nigūñ thā ki koī dekh ke āvāz na de
'ishq ne aa ke mire sar pe hī dastār rakhī
saj rahī thī pas-e-taḳh.īl koī shoḳh ġhazal
ham ne kāġhaz pe tire naam kī takrār rakhī
nam bhī honā nahīñ dariyā se guzar jaanā bhī
tū ne ye shart bhī kyā soch ke ai yaar rakhī
vaj.h-e-rusvā.ī na ban jaa.e 'adāvat kal phir
us ne ġhusse ko piyā ham ne bhī talvār rakhī
ham ne us shāḳh-e-tamannā pe numū paayā hai
jis ne har rut meñ kahānī koī tayyār rakhī
izn thā ḳhāna-ba-doshoñ ko bhī goyā.ī kā
ham bhī mahfil meñ uThe ḳhvāhish-e-guftār rakhī
tujh ko ma'lum nahin kya mere gham-KHwar rakhi
ek 'arzi dar-e-ulfat pe kai bar rakhi
tujh se milne ki tamanna thi magar kya karta
waqt ne bich mein barud ki diwar rakhi
sar nigun tha ki koi dekh ke aawaz na de
'ishq ne aa ke mere sar pe hi dastar rakhi
saj rahi thi pas-e-taKHil koi shoKH ghazal
hum ne kaghaz pe tere nam ki takrar rakhi
nam bhi hona nahin dariya se guzar jaana bhi
tu ne ye shart bhi kya soch ke ai yar rakhi
wajh-e-ruswai na ban jae 'adawat kal phir
us ne ghusse ko piya hum ne bhi talwar rakhi
hum ne us shaKH-e-tamanna pe numu paya hai
jis ne har rut mein kahani koi tayyar rakhi
izn tha KHana-ba-doshon ko bhi goyai ka
hum bhi mahfil mein uThe KHwahish-e-guftar rakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.