tujhko ye wahm hai ki wo teri nazar mein hain
tujh ko ye vahm hai ki vo terī nazar meñ haiñ
tūfān barq-o-bād parinde shajar meñ haiñ
shāyad kabhī hamārī zarūrat paḌe tujhe
ab tak isī ḳhayāl se ham rahguzar meñ haiñ
sohbat bhī ahl-e-ilm kī kartī hai sarbuland
ham be-hunar haiñ halqa-e-ahl-e-hunar meñ haiñ
jhuk jaa.e vo jabīñ to hamesha jhukī rahe
kuchh aisī lazzateñ bhī mire sang-e-dar meñ haiñ
shīshe ke ghar bhī apnī jagah ḳhush-numā sahī
lekin jo rāhateñ mire miTTī ke ghar meñ haiñ
mahfil tamām jin kī nazar par hai multafit
'nāsir' hameñ hai faḳhr ki un kī nazar meñ haiñ
tujh ko ye wahm hai ki wo teri nazar mein hain
tufan barq-o-baad parinde shajar mein hain
shayad kabhi hamari zarurat paDe tujhe
ab tak isi KHayal se hum rahguzar mein hain
sohbat bhi ahl-e-ilm ki karti hai sarbuland
hum be-hunar hain halqa-e-ahl-e-hunar mein hain
jhuk jae wo jabin to hamesha jhuki rahe
kuchh aisi lazzaten bhi mere sang-e-dar mein hain
shishe ke ghar bhi apni jagah KHush-numa sahi
lekin jo rahaten mere miTTi ke ghar mein hain
mahfil tamam jin ki nazar par hai multafit
'nasir' hamein hai faKHr ki un ki nazar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.