tujhko zahid ye ab hua kya hai
tujh ko 'zāhid' ye ab huā kyā hai
baiThe baiThe ye sochtā kyā hai
chhoḌiye gul-ruḳhoñ kī bātoñ ko
un kī rangat meñ ab dharā kyā hai
hādsoñ ko gale lagātā huuñ
aur taqdīr meñ likhā kyā hai
kyoñ ye phirtā hai dar-ba-dar maarā
kaun jaane ise huā kyā hai
ḳhasta-hālī pe merī hañste ho
ye na pūchhā ki mājrā kyā hai
ek but se ho āshnā 'zāhid'
maiñ nahīñ jāntā ḳhudā kyā hai
tujh ko 'zahid' ye ab hua kya hai
baiThe baiThe ye sochta kya hai
chhoDiye gul-ruKHon ki baaton ko
un ki rangat mein ab dhara kya hai
hadson ko gale lagata hun
aur taqdir mein likha kya hai
kyon ye phirta hai dar-ba-dar mara
kaun jaane ise hua kya hai
KHasta-haali pe meri hanste ho
ye na puchha ki majra kya hai
ek but se ho aashna 'zahid'
main nahin jaanta KHuda kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.