tujh pe ehsan jaan karta hun
tujh pe ehsān jaan kartā huuñ
apne armān daan kartā huuñ
roz aañsū bahātā rahtā huuñ
roz ḳhālī makān kartā huuñ
mere sab kuchh adhīn hotā hai
jis taraf maiñ kamān kartā huuñ
aap aatā hai rū-ba-rū sab kuchh
maiñ to keval gumān kartā huuñ
dastakeñ jaan lene lagtī haiñ
band jab bhī dukān kartā huuñ
hal chalātī hai zindagī merī
aur maiñ miTTī samān kartā huuñ
tujh pe ehsan jaan karta hun
apne arman dan karta hun
roz aansu bahata rahta hun
roz KHali makan karta hun
mere sab kuchh adhin hota hai
jis taraf main kaman karta hun
aap aata hai ru-ba-ru sab kuchh
main to kewal guman karta hun
dastaken jaan lene lagti hain
band jab bhi dukan karta hun
hal chalati hai zindagi meri
aur main miTTi saman karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.