tujh pe qurban ho jo sau bar kahan se laun
tujh pe qurbāñ ho jo sau baar kahāñ se lā.ūñ
ab vo dil ai nigah-e-yār kahāñ se lā.ūñ
sar hai apnoñ hī ke altāf-o-ināyāt se ḳham
tab-e-minnat-kash-e-aġhyār kahāñ se lā.ūñ
sañg-o-āhan ko bhī pighlā de harārat jin keī
vo sulagte hue afkār kahāñ se lā.ūñ
zehn afsurda dil afgār pareshāñ ḳhātir
maiñ gul-afshānī-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
jab hai mujh se mirā saaya bhī gurezāñ 'at.har'
phir koī hamdam-o-ġham-ḳhvār kahāñ se lā.ūñ
tujh pe qurban ho jo sau bar kahan se laun
ab wo dil ai nigah-e-yar kahan se laun
sar hai apnon hi ke altaf-o-inayat se KHam
tab-e-minnat-kash-e-aghyar kahan se laun
sang-o-ahan ko bhi pighla de hararat jin kei
wo sulagte hue afkar kahan se laun
zehn afsurda dil afgar pareshan KHatir
main gul-afshani-e-guftar kahan se laun
jab hai mujh se mera saya bhi gurezan 'athar'
phir koi hamdam-o-gham-KHwar kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.