tujhse ai dost ab gila hi nahin
tujh se ai dost ab gila hī nahīñ
terī fitrat meñ to vafā hī nahīñ
raah meñ dil paḌā hai yā patthar
koī ruk kar ye dekhtā hī nahīñ
haa.e ahl-e-ḳhirad kī kam-nazarī
dil kā ab koī tazkira hī nahīñ
aa.ine kī tarah ho dil jis kā
koī aisā mujhe milā hī nahīñ
apne saa.e se log Darte haiñ
rāz-e-dil koī kholtā hī nahīñ
kis ko sauġhāt-e-āgahī deñ ham
koī bastī meñ ham-navā hī nahīñ
zaḳhm kyā mundamil hue dil ke
zindagī meñ koī maza hī nahīñ
sham.a kah kar ye bujh ga.ī kal raat
dard-e-dil kī koī davā hī nahīñ
aql-o-dil meñ na kījiye tafrīq
is se baḌh kar koī ḳhatā hī nahīñ
kyoñ Darātī hai gardish-e-ayyām
dil meñ ab koī mudda.ā hī nahīñ
hai gila apnī kam-savādī se
zindagī se koī gila hī nahīñ
log kashkol le ke phirte haiñ
haath ab tak mirā uThā hī nahīñ
roz paḌhtā huuñ ġhaur se chehre
shahr meñ koī āshnā hī nahīñ
kyoñ dikhātā hai aa.ina sab ko
koī 'ahmad' se boltā hī nahīñ
tujh se ai dost ab gila hi nahin
teri fitrat mein to wafa hi nahin
rah mein dil paDa hai ya patthar
koi ruk kar ye dekhta hi nahin
hae ahl-e-KHirad ki kam-nazari
dil ka ab koi tazkira hi nahin
aaine ki tarah ho dil jis ka
koi aisa mujhe mila hi nahin
apne sae se log Darte hain
raaz-e-dil koi kholta hi nahin
kis ko saughat-e-agahi den hum
koi basti mein ham-nawa hi nahin
zaKHm kya mundamil hue dil ke
zindagi mein koi maza hi nahin
shama kah kar ye bujh gai kal raat
dard-e-dil ki koi dawa hi nahin
aql-o-dil mein na kijiye tafriq
is se baDh kar koi KHata hi nahin
kyon Daraati hai gardish-e-ayyam
dil mein ab koi muddaa hi nahin
hai gila apni kam-sawadi se
zindagi se koi gila hi nahin
log kashkol le ke phirte hain
hath ab tak mera uTha hi nahin
roz paDhta hun ghaur se chehre
shahr mein koi aashna hi nahin
kyon dikhata hai aaina sab ko
koi 'ahmad' se bolta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.