tujhse ai hila-saz kya kahna
tujh se ai hīlā-sāz kyā kahnā
maiñ kahūñ dil kā raaz kyā kahnā
merī qismat meñ likh diyā un ko
terā ai kār-sāz kyā kahnā
jo maze ham ne paa.e furqat meñ
un kā banda-navāz kyā kahnā
shaiḳh sāhab ne mai-kada chhoḌā
ab bane pāk-bāz kyā kahnā
darguzar kar ke sab ḳhatāoñ ko
phir kiyā sarfarāz kyā kahnā
kaash duniyā mirī banā do tum
phir to banda-navāz kyā kahnā
mujh ko mad.hosh kar diyā tū ne
nigah-e-nīm-bāz kyā kahnā
mujh ko baḳhshā hai ek nukte meñ
terā nukta-navāz kyā kahnā
dil pe jo kuchh 'rafīq' ke guzrī
us kā ai dil-navāz kyā kahnā
tujh se ai hila-saz kya kahna
main kahun dil ka raaz kya kahna
meri qismat mein likh diya un ko
tera ai kar-saz kya kahna
jo maze hum ne pae furqat mein
un ka banda-nawaz kya kahna
shaiKH sahab ne mai-kada chhoDa
ab bane pak-baz kya kahna
darguzar kar ke sab KHataon ko
phir kiya sarfaraaz kya kahna
kash duniya meri bana do tum
phir to banda-nawaz kya kahna
mujh ko madhosh kar diya tu ne
nigah-e-nim-baz kya kahna
mujh ko baKHsha hai ek nukte mein
tera nukta-nawaz kya kahna
dil pe jo kuchh 'rafiq' ke guzri
us ka ai dil-nawaz kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.