tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta
tujh se bhī hasīñ hai tire afkār kā rishta
tū maañg le mujh se mire ash.ār kā rishta
vo dhuup meñ nikhrā huā billor sā paikar
chāñdī sā chamaktā huā dīdār kā rishta
tanhā.ī meñ pahuñche to sabhī the tahī-dāmāñ
bāzār meñ chhoḌ aa.e the bāzār kā rishta
ik aur girah saañs kī Dorī meñ paḌegī
yaad aayā mujhe bhūlā huā pyaar kā rishta
afkār ke jañgal meñ khaḌā soch rahā huuñ
kis tarah ma.ānī se ho iz.hār kā rishta
kyuuñ yaad dilāte ho 'rashīd' un ko ye bandhan
ab kaun nibhātā hai ye bekār kā rishta
tujh se bhi hasin hai tere afkar ka rishta
tu mang le mujh se mere ashaar ka rishta
wo dhup mein nikhra hua billor sa paikar
chandi sa chamakta hua didar ka rishta
tanhai mein pahunche to sabhi the tahi-daman
bazar mein chhoD aae the bazar ka rishta
ek aur girah sans ki Dori mein paDegi
yaad aaya mujhe bhula hua pyar ka rishta
afkar ke jangal mein khaDa soch raha hun
kis tarah maani se ho izhaar ka rishta
kyun yaad dilate ho 'rashid' un ko ye bandhan
ab kaun nibhata hai ye bekar ka rishta
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 81)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.