tujhse bichhDun to ye KHadsha hai akela ho jaun
tujh se bichhḌūñ to ye ḳhadsha hai akelā ho jā.ūñ
ghor tanhā.ī ke jañgal kā maiñ hissa ho jā.ūñ
ik tire dam se hī shādāb hai ye merā vajūd
tū nazar pher le mujh se to maiñ sahrā ho jā.ūñ
dil kī dīvāroñ pe marqūm rahe naam mirā
qabl is ke ki maiñ bhūlā huā qissa ho jā.ūñ
tū agar dil meñ basā le to banūñ maiñ shā.ir
tū jo hoñToñ pe sajā le to maiñ naġhma ho jā.ūñ
aisā ho jaa.e na sūjhe tujhe kuchh mere sivā
aisā ho jaa.e ki maiñ hī tirī duniyā ho jā.ūñ
jāntā huuñ maiñ tirī surma.ī āñkhoñ kā tilism
ik nazar mujh pe bhī maiñ bhī tire jaisā ho jā.ūñ
maiñ adhūrā huuñ bahut tujh se bichhaḌ kar ai dost
tū jo mil jaa.e dobāra to maiñ saarā ho jā.ūñ
tujh se bichhDun to ye KHadsha hai akela ho jaun
ghor tanhai ke jangal ka main hissa ho jaun
ek tere dam se hi shadab hai ye mera wajud
tu nazar pher le mujh se to main sahra ho jaun
dil ki diwaron pe marqum rahe nam mera
qabl is ke ki main bhula hua qissa ho jaun
tu agar dil mein basa le to banun main shair
tu jo honTon pe saja le to main naghma ho jaun
aisa ho jae na sujhe tujhe kuchh mere siwa
aisa ho jae ki main hi teri duniya ho jaun
jaanta hun main teri surmai aankhon ka tilism
ek nazar mujh pe bhi main bhi tere jaisa ho jaun
main adhura hun bahut tujh se bichhaD kar ai dost
tu jo mil jae dobara to main sara ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.