tujhse ek hath kya mila liya hai
tujh se ik haath kyā milā liyā hai
shahr ne vāqi.a banā liyā hai
ham to ham the ki us parī-rū ne
aa.ine kā bhī dil churā liyā hai
varna ye sail-e-āb le jaatā
shahr ko aag ne bachā liyā hai
aisī naav meñ kyā safar karnā
jis ne dariyā ko dukh sunā liyā hai
kūza-gar ne hamārī miTTī se
kyā banānā thā kyā banā liyā hai
dekhiye pahle kaun martā hai
saañp ne aadmī ko khā liyā hai
jaane vāloñ ko ab ijāzat hai
ham ne apnā diyā bujhā liyā hai
jab koī baat hī nahīñ 'āmī'
āsmāñ sar pe kyuuñ uThā liyā hai
tujh se ek hath kya mila liya hai
shahr ne waqia bana liya hai
hum to hum the ki us pari-ru ne
aaine ka bhi dil chura liya hai
warna ye sail-e-ab le jata
shahr ko aag ne bacha liya hai
aisi naw mein kya safar karna
jis ne dariya ko dukh suna liya hai
kuza-gar ne hamari miTTi se
kya banana tha kya bana liya hai
dekhiye pahle kaun marta hai
sanp ne aadmi ko kha liya hai
jaane walon ko ab ijazat hai
hum ne apna diya bujha liya hai
jab koi baat hi nahin 'ami'
aasman sar pe kyun uTha liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.