tujhse jab se hua hai pyar mujhe
tujh se jab se huā hai pyaar mujhe
na sukūñ hai na hai qarār mujhe
sab ye kahte haiñ tū na aa.egā
hai tirā ab bhī intizār mujhe
mujh ko apnā agar samajhtā hai
naam le kar kabhī pukār mujhe
tū kabhī jaan se bhī pyārā thā
ab nahīñ tujh pe e’tibār mujhe
maiñ na ā.ūñgā tere dhoke meñ
yuuñ na shīshe meñ tū utaar mujhe
jis ko paalā thā naaz se 'ahmad'
vo samajhne lagā hai baar mujhe
tujh se jab se hua hai pyar mujhe
na sukun hai na hai qarar mujhe
sab ye kahte hain tu na aaega
hai tera ab bhi intizar mujhe
mujh ko apna agar samajhta hai
nam le kar kabhi pukar mujhe
tu kabhi jaan se bhi pyara tha
ab nahin tujh pe e’tibar mujhe
main na aaunga tere dhoke mein
yun na shishe mein tu utar mujhe
jis ko pala tha naz se 'ahmad'
wo samajhne laga hai bar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.