tujhse jo kuchh tha zara sa wasta wo bhi gaya
tujh se jo kuchh thā zarā sā vāsta vo bhī gayā
naam hī ko jo thā qaa.em rābta vo bhī gayā
samt gum thī rāste kī be-nishāñ thiiñ manzileñ
lamha lamha saath thā jo qāfila vo bhī gayā
āsmāñ kī vus.atoñ meñ diip the jalte hue
thā tasavvur meñ nayā ik rāsta vo bhī gayā
dostoñ meñ dushmanoñ ko dekh kar hairāñ huuñ maiñ
aage baḌh jaane kā thā jo valvala vo bhī gayā
vasl kā bhī raaz rastoñ ke kaThin hone meñ hai
shāyad ab dushvār thā jo fāsla vo bhī gayā
soch kī uljhan sulajhtī jā rahī hai dam-ba-dam
gum-shuda manzil kā thā jo vasvasa vo bhī gayā
is qadar nazdīk paayā dil ne jab apnā habīb
ab talak qaa.em rahā jo hausla vo bhī gayā
tujh se jo kuchh tha zara sa wasta wo bhi gaya
nam hi ko jo tha qaem rabta wo bhi gaya
samt gum thi raste ki be-nishan thin manzilen
lamha lamha sath tha jo qafila wo bhi gaya
aasman ki wusaton mein dip the jalte hue
tha tasawwur mein naya ek rasta wo bhi gaya
doston mein dushmanon ko dekh kar hairan hun main
aage baDh jaane ka tha jo walwala wo bhi gaya
wasl ka bhi raaz raston ke kaThin hone mein hai
shayad ab dushwar tha jo fasla wo bhi gaya
soch ki uljhan sulajhti ja rahi hai dam-ba-dam
gum-shuda manzil ka tha jo waswasa wo bhi gaya
is qadar nazdik paya dil ne jab apna habib
ab talak qaem raha jo hausla wo bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.