tujhse kya bolen ai wadon se mukarne wale
tujh se kyā boleñ ai vā'doñ se mukarne vaale
muñh udhar pher mire dil se utarne vaale
ab mirī āñkhoñ meñ kyā DhūñDhne tū aayā hai
andhe ḳhvāboñ ke tasavvur meñ sañvarne vaale
tū to raftār kā dīvāna banā phirtā thā
sochtā kyā hai yuuñ tham tham ke guzar ne vaale
biite lamhe to havāoñ ke khilaune nikle
ḳhaak simTeñge tire hāthoñ bikharne vaale
chārasāzī ko masīhā bhī agar aa jaa.e
ruuh ke zaḳhm nahīñ ab mire bharne vaale
tujh se kya bolen ai wa'don se mukarne wale
munh udhar pher mere dil se utarne wale
ab meri aankhon mein kya DhunDhne tu aaya hai
andhe KHwabon ke tasawwur mein sanwarne wale
tu to raftar ka diwana bana phirta tha
sochta kya hai yun tham tham ke guzar ne wale
bite lamhe to hawaon ke khilaune nikle
KHak simTenge tere hathon bikharne wale
chaarasazi ko masiha bhi agar aa jae
ruh ke zaKHm nahin ab mere bharne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.