tujhse nata toD lenge aur baDa roenge hum
tujh se naata toḌ leñge aur baḌā ro.eñge ham
dil ko halkā yuuñ kareñge bārhā ro.eñge ham
āhaToñ aur dastakoñ par kaan haiñ rakkhe hue
kab se tere muntazir haiñ aa bhī jā ro.eñge ham
suukh hī jā.egā dariyā ham agar hañste rahe
us kī ḳhātir jitnā ham se ban paḌā ro.eñge ham
terī yādoñ kī ho aamad aur dil meñ kuchh na ho
muskurā.eñge ḳhushī meñ mubtalā ro.eñge ham
ġham ḳharābe tīrgī aañsū ḳhalā āshuftagī
aur bhī kuchh ho agar to vo bhī lā ro.eñge ham
ek manzar soch kar jis ko ye saare ro paḌeñ
hazrat-e-'ayyūb' kā qissa sunā ro.eñge ham
tujh se nata toD lenge aur baDa roenge hum
dil ko halka yun karenge barha roenge hum
aahaTon aur dastakon par kan hain rakkhe hue
kab se tere muntazir hain aa bhi ja roenge hum
sukh hi jaega dariya hum agar hanste rahe
us ki KHatir jitna hum se ban paDa roenge hum
teri yaadon ki ho aamad aur dil mein kuchh na ho
muskuraenge KHushi mein mubtala roenge hum
gham KHarabe tirgi aansu KHala aashuftagi
aur bhi kuchh ho agar to wo bhi la roenge hum
ek manzar soch kar jis ko ye sare ro paDen
hazrat-e-'ayyub' ka qissa suna roenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.