tujhse nazar mila kar diwana ho gaya main
tujh se nazar milā kar dīvāna ho gayā maiñ
kuchh raaz ban gayā kuchh afsāna ho gayā maiñ
apne liye bahāyā ḳhūn-e-jigar to kyā ġham
tere liye to rangīñ afsāna ho gayā maiñ
haañ ab uThā rahe ho dīvāna-vār nazreñ
jab tum se tang aa kar dīvāna ho gayā maiñ
ye soch kar ki shāyad parvāna-vār aao
afsurda sā charāġh-e-ġham-ḳhāna ho gayā maiñ
haT kar ġhamoñ se aksar Thukrā diyā ġhamoñ ko
aksar ġhamoñ se ghuT kar dīvāna ho gayā maiñ
terī nazar meñ rah kar ik raaz ban gayā thā
gir kar tirī nazar se afsāna ho gayā maiñ
ik baar aur dekhā hasrat se un kī jānib
phir rafta rafta un se begāna ho gayā maiñ
ab to mirī ḳhamoshī sab kah chukī hai tum se
ab to sunā-sunāyā afsāna ho gayā maiñ
hai kaal āñsuoñ kā kyuuñ chashm-e-ġham meñ 'jazbī'
kis riñd-e-tishna-lab kā paimāna ho gayā maiñ
tujh se nazar mila kar diwana ho gaya main
kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main
apne liye bahaya KHun-e-jigar to kya gham
tere liye to rangin afsana ho gaya main
han ab uTha rahe ho diwana-war nazren
jab tum se tang aa kar diwana ho gaya main
ye soch kar ki shayad parwana-war aao
afsurda sa charagh-e-gham-KHana ho gaya main
haT kar ghamon se aksar Thukra diya ghamon ko
aksar ghamon se ghuT kar diwana ho gaya main
teri nazar mein rah kar ek raaz ban gaya tha
gir kar teri nazar se afsana ho gaya main
ek bar aur dekha hasrat se un ki jaanib
phir rafta rafta un se begana ho gaya main
ab to meri KHamoshi sab kah chuki hai tum se
ab to suna-sunaya afsana ho gaya main
hai kal aansuon ka kyun chashm-e-gham mein 'jazbi'
kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.