tujhse pahle to koi aur KHuda tha lekin
tujh se pahle to koī aur ḳhudā thā lekin
phir vo majzūb sar-e-rāh milā thā lekin
raah behtar nahīñ hai tere liye ye mirī jaan
tujh se pahle bhī ka.ī baar kahā thā lekin
sahl kab hotā hai mar miTnā kisī kī ḳhātir
sar-ba-kaf maiñ to junūñ ban ke laḌā thā lekin
tū ne us vaqt talattuf na kiyā mujh par kyoñ
maiñ sadā ban ke vafā bol rahā thā lekin
chārasāzī meñ tasarruf se chaleñ to behtar
maiñ tire sar pe falak ban ke uThā thā lekin
kyā batā.ūñgā jo pūchheñge zamāne vaale
dil-shikan tū huā kyoñ mujh se ḳhafā thā lekin
fart-e-ulfat meñ tire pā kī qasam hai 'alvī'
maiñ tirī rah meñ diyā ban ke jalā thā lekin
tujh se pahle to koi aur KHuda tha lekin
phir wo majzub sar-e-rah mila tha lekin
rah behtar nahin hai tere liye ye meri jaan
tujh se pahle bhi kai bar kaha tha lekin
sahl kab hota hai mar miTna kisi ki KHatir
sar-ba-kaf main to junun ban ke laDa tha lekin
tu ne us waqt talattuf na kiya mujh par kyon
main sada ban ke wafa bol raha tha lekin
chaarasazi mein tasarruf se chalen to behtar
main tere sar pe falak ban ke uTha tha lekin
kya bataunga jo puchhenge zamane wale
dil-shikan tu hua kyon mujh se KHafa tha lekin
fart-e-ulfat mein tere pa ki qasam hai 'alwi'
main teri rah mein diya ban ke jala tha lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.