tujhse qarib-tar teri tanhaiyon mein hun
tujh se qarīb-tar tirī tanhā.iyoñ meñ huuñ
dhaḌkan huuñ tere qalb kī gahrā.iyoñ meñ huuñ
dukh hai ki terī zaat meñ shāmil thā maiñ kabhī
aur aaj tere jism kī parchhā.iyoñ meñ huuñ
ḳhud-bīñ na ban baġhaur zarā aa.ina to dekh
maiñ bhī to tere husn kī ra.anā.iyoñ meñ huuñ
laTkā huuñ maiñ salīb pe har ahd kī tarah
is jurm par ki vaqt kī sachchā.iyoñ meñ huuñ
jab se girā huuñ us kī nigāhoñ se ai 'zafar'
har bazm meñ haqīr huuñ rusvā.iyoñ meñ huuñ
tujh se qarib-tar teri tanhaiyon mein hun
dhaDkan hun tere qalb ki gahraiyon mein hun
dukh hai ki teri zat mein shamil tha main kabhi
aur aaj tere jism ki parchhaiyon mein hun
KHud-bin na ban baghaur zara aaina to dekh
main bhi to tere husn ki ranaiyon mein hun
laTka hun main salib pe har ahd ki tarah
is jurm par ki waqt ki sachchaiyon mein hun
jab se gira hun us ki nigahon se ai 'zafar'
har bazm mein haqir hun ruswaiyon mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.