tujhse tadbir-o-amal katba-e-taqdir na dekh
tujh se tadbīr-o-amal katba-e-taqdīr na dekh
ḳhvāb sarmāya tirā ḳhvāb kī ta.abīr na dekh
dekh kis fard ke dil meñ hai siyāhī kitnī
kis ke chehre pe hai bikhrī huī tanvīr na dekh
har musavvir kā ġham-e-dil hai talabgār-e-nazar
ek tājir kī tarah ḳhāka-o-tasvīr na dekh
aaj bhī jang ke bādal haiñ jahāñ par chhā.e
ahd-nāmoñ se ayaañ amn kī tahrīr na dekh
ātish-e-qalb se teshe hue ash.ār 'nadīm'
ham-nashīñ un meñ kabhī barf kī tāsīr na dekh
tujh se tadbir-o-amal katba-e-taqdir na dekh
KHwab sarmaya tera KHwab ki tabir na dekh
dekh kis fard ke dil mein hai siyahi kitni
kis ke chehre pe hai bikhri hui tanwir na dekh
har musawwir ka gham-e-dil hai talabgar-e-nazar
ek tajir ki tarah KHaka-o-taswir na dekh
aaj bhi jang ke baadal hain jahan par chhae
ahd-namon se ayan amn ki tahrir na dekh
aatish-e-qalb se teshe hue ashaar 'nadim'
ham-nashin un mein kabhi barf ki tasir na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.