tujhse tere aks ki ye dushmani achchhi lagi
tujh se tere aks kī ye dushmanī achchhī lagī
jhiil kī lahroñ meñ bikhrī chāñdnī achchhī lagī
aaj phir qaus-e-quzah kā pairahan pahne hai vo
aaj phir us kī mujhe fan-parvarī achchhī lagī
jhuuT ke mimbar mirī ḳhāmoshiyoñ kī zad meñ haiñ
merī sachchā.ī ko neze kī anī achchhī lagī
yaad aa.e haiñ ka.ī mausam guzashta ishq ke
shāḳh-e-gul se titliyoñ kī dil-lagī achchhī lagī
apnī ġhazloñ ke damakte lafz phīke paḌ ga.e
us ke tīkhe ḳhāl-o-ḳhad kī shā.erī achchhī lagī
aur bhī kuchh khul ga.e haiñ bujhte chehroñ ke nuqūsh
shahr-e-dil meñ dhuup kī chādar tanī achchhī lagī
jis ke ruḳhsāroñ kī rangat meñ anā kī aañch thī
us ke hāthoñ kī 'razī' yaḳh-bastagī achchhī lagī
tujh se tere aks ki ye dushmani achchhi lagi
jhil ki lahron mein bikhri chandni achchhi lagi
aaj phir qaus-e-quzah ka pairahan pahne hai wo
aaj phir us ki mujhe fan-parwari achchhi lagi
jhuT ke mimbar meri KHamoshiyon ki zad mein hain
meri sachchai ko neze ki ani achchhi lagi
yaad aae hain kai mausam guzashta ishq ke
shaKH-e-gul se titliyon ki dil-lagi achchhi lagi
apni ghazlon ke damakte lafz phike paD gae
us ke tikhe KHal-o-KHad ki shaeri achchhi lagi
aur bhi kuchh khul gae hain bujhte chehron ke nuqush
shahr-e-dil mein dhup ki chadar tani achchhi lagi
jis ke ruKHsaron ki rangat mein ana ki aanch thi
us ke hathon ki 'razi' yaKH-bastagi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.